नज़रों से देख प्यारे प्रभु क्या दिखा रहा है।
सब चीज़ सब जगह में ईश्वर समा रहा है।

1. प्रभु ने जभी विचारा जग का हुआ पसारा,
चैदह भुवन वो न्यारा मन से बना रहा है।

2. कहीं नर बना वो नारी कहीं देव दैत्य भारी,
पशु-पक्षी रूप धारी बन-बन के आ रहा है।

3. भूमि वोही अग्न है पानी वही पवन है,
सूरज वोही गगन है निर्गुण गुणा रहा है।

तज भेदभाव मन में बन में वही है मन में,
ब्रह्मानन्द ज्यों स्वपन में रचना रचा रहा है।

Nazaron se dekh pyaare prabhu kya dikha raha hai.
Sab cheez sab jagah mein Ishwar sama raha hai.

1. Prabhu ne jabhi vichara jag ka hua pasaara,
Chaudah bhuvan vo nyaara mann se bana raha hai.

2. Kahin nar bana vo naari kahin dev daitya bhari,
Pashu-pakshi roop dhaari ban-ban ke aa raha hai.

3.Bhoomi vohi agan hai pani vahi pawan hai,
Sooraj vohi gagan hai nirgun gunaa raha hai.

4. Taj bhedbhaav mann mein ban mein vahi hai mann mein,
Brahmananda jyon swapan mein rachna racha raha hai.