प्रभु कर सब दुख दूर हमारे, शरण पड़े हम दास तुम्हारे।

1. सकल जगत तुमने उपजाया, तुम ही हो प्रति पालन हारे।

2. सकल व्यापक अंतरयामी, धयावत सुर नर मुनिगण सारे।

3. नाम तुम्हारो सब सुखदायक, सकल दोष भयो पाप निवारे।

4. सत् चित आनन्द रूप तुम्हारो, ब्रह्मानन्द सदा मन धारे।

Prabhu kar sab dukh door hamaare, sharan pade ham daas tumhaare.

1. Sakal jagat tumne upjaaya, tum hi ho prati paalan haare.

2. Sakal vyaapak antaryami, dhyaawat sur nar munigan saare.

3. Naam tumhaaro sab sukhdaayak, sakal dosh bhayo paap nivaare.

4. Sat chit anand roop tumhaaro, bramananda sadaa mann dhaare.