कहे कृष्ण मोरध्वज राजा |
तुम सब भक्तन सिर ताजा || टेक ||
साधुन का वेश बनाये | हम द्वार तुमारे आये जी |
संग में वन सिंघ बिराजा || तुम-----------
हम भोजन में हठ कीना | सुत वदन काट तुम दीना जी |
निज धर्म वचन के काजा || तुम-----------------
सब रुदन करें नर नारी | तुम धीरज मन में धारी जी |
सब तजी जगत के लाजा || तुम---------------
यह देख भक्ति व्रत तेरा | अति हर्ष भया मन मेरा जी |
ब्रम्हानंद सभी दुख भाजा || तुम-------------
Kahe krishna mordhwaj raja
Tum sab bhaktan sir taaja. || tek ||
Sadhun ka vesh banaaye, hum dwaar tumare aaye ji
Sang mein van singh biraaja, tum -----
Hum bhojan mein hatth kina, sut vadan kaat tum deena ji
Nij dharm vachan ke kaaja, tum ------
Sab rudan kare nar naari, tum dheeraj mann mein dhaari ji
Sab taji jagat ke laaja, tum ----
Yeh dekh bhakti vrat tera, ati harsh bhaya mann mera ji
Brahmanand sabhi dukh bhaaja, tum ------