नर तुम कियो न एको काजा ।
काम क्रोध तृष्णा के बाँधे, लूटत हैं यमराजा । टेक
बन खंड जाय योग तप कीन्हा, कंदमूल फल खाया ।
होते ज्ञानी परम सुख ध्यानी, पाती काह लिखाया । १

चार वेद तुम हित के राखे, फीकी उनकी आशा ।
काल भच्छ सब दुनिया सिरानी, इन्हीं के विश्वासा । २

प्रेम भक्ति हिरदय ना आवै, नाच काछ मन दीन्हा ।
राग रागिनी डिंभ धरी धर, तिन हरसों का लीन्हा । ३

फिरे काल अनंत लोक में , मध्य लखे मुनि ज्ञानी ।
कहैं कबीर ते भये विवेकी, राम भक्ति हद जानी । ४

Nar tum kiyo na eko kaaja
Kaam krodh trishna ke baandhe, lootat hain yamraja | tek
Ban khand jaaye yog tap keenha, kandmool fal khaaya
Hote gyaani param sukh dhyaani, paati kaah likhaya | 1

Chaar ved tum hit ke raakhe, feeki unki aasha
Kaal bhacchh sab duniya sirani, inhiin ke vishwasa | 2

Prem bhakti hirdaya na aavai, naach kaachh mann deenha
Raag ragini dimbh dhari dhar, tin hirson ka leenha | 3

Fire kaal anant lok mein, madhya lakhe muni gyaani
Kahain kabir te bhaye viveki, ram bhakti had jaani | 4