भोला है शंकर का नाम, भोला रूप निराला |
जटा जूट शीश गंगा विराजे, पिये हलाहल प्याला |
चंद्र भाल पर गरल कंठ में, गले सर्पों की माला |
अंग विभूति लगाए, पहिरे बाघम्बर मृगछाला |
कर त्रिशूल अरु डमरू विराजे, महाकाल के काला |
भक्तन के हित जपें निरंतर, राम नाम की माला |
वाम अंग में उमा विराजे, मेटें सब जंजाला |
इन सा जग में कोई न दूजा, पार लगाने वाला |
पत्र पुष्प फल जल पर रीझे , ऐसा कोई न पाया |
औघड़ दानी व्यास तुम्हारी, महिमा जान न पाया |
मन मंदिर में भर दो भोले चंदा सा उजियाला |
एक बार प्रभु हमें पिला दो रूप माधुरी प्याला |
Bhola hai Shankar ka naam, Bhola roop niraala |
Jata joot sheesh Ganga viraaje, piye halaahal pyaala |
Chandr bhaal par garal kanth mein, gale sarpon ki maala |
Ang vibhooti lagaaye, pahire baaghamber mrigchhaala |
Kar trishool aru damru viraaje, Mahakaal ke kaala |
Bhaktan ke hit japein nirantar, Ram naam ki maala |
Vaam ang mein Uma viraaje, mete sab janjaala |
In sa jag mein koi na dooja, paar lagaane waala |
Patra pushp phal jal par reejhe, aisa koi na paaya |
Aghad daani Vyas tumhaari, mahima jaan na paaya |
Man mandir mein bhar do Bhole, chanda sa ujiyaala |
Ek baar Prabhu humein pila do roop maadhuri pyaala |